Thursday, March 27, 2014

Basmah Laiq : Tharki

Kehte hain k tharak or sarak insaan ko kaheen bhi le jati hai. Sach kehte hain!! Pakistan bil khusoos Karachi mai tharkio ki kami nahi aur na kabhi ho sakti hai. Sarak wo hai jo agar galat ho to insan ki manzil milna mushkil hojati hai or tharak wo hai jis mai aapko manzil he nahi pata hoti. Roz koi naee naee manzilen dkhti hain magar asli manzil konsi hai wo kisi ko nahi maloom.

Is baat ka andaza lagana k mard or aurat mai kon zayada tharki hai thora mushkil hai kyun k tharki pana kisi k profession, gender ya parhai sy taluk ni rkhta k konsa insaan zada para likha hai to wo tharki ni hoga ya kisi ka kia profession hai, agar wo koi acha professional insane hai to tharki nahi hoga or agar koi ese he chota mota kaam karta hai to tharki hoga, mard hai to zada tharki hai or aurat hai to tharki nahi hai. NAHII! Hargiz nahi. Tharak pan insaan ki fitrat hai aadat nahi qk aadat to badalna assaan hota hai magar fitrat nahi. Mere mutaabik, aaj kal k dor mai jo zada parha likha, achay ohday per faaiz insaan hai chahay 60 saal ka bhudda he kyun na ho woh zada tharki hai. Shayad zada kam ya parhai insaan ko zada tharki bana deti hai. Kyun k us insaan ki zindagi mai kitaabo or kaam k alawa kch krne or dekhne hota he ni to jab ussy koi esi cheez dkhti hai jo k issy mukhtalif hoti hai to wo ussy wese he tharki panay sy dekhta hai jese koi anhoki makhlooq dekhli ho.

Yeh andaza lagana bhi shaded mushkil hai k zyada tharki shaadi shuda log hote hain ya gher shaadi shuda. Shaadi shuda isliye zada tharki hoskte hain k roz ghar ki ek daal chaawal kha kha k aadmi bore hojata hai usko kabhi chargha chaye hota hai to kabhi kabab. Us chargha or kabab ki talaash usko tharki bana deti hai. Gher shaadi shuda afraad isliye zada tharki kehla sakte hain qk yeh to un sy bhi badtar hote hain jinhe roz daal chawal milti hai qk yeh to wo log hote hain jin k pass khanay he kch nahi hota to unhe rookhi sookhi jesi b dedo yeh khushi khushi Allah ka shukar ada karte hain or agar kabi inhe acha mil jae to inke to bhaag he sanwar jate hain. Yahan yakeenan meri muraad daal chawal or charghay type khano ki dishes sy yeh khanay nahi hain, aap behtar samjh sakte hain.

Haal he mai ek waqiya university mai dekhne ko mila jis ne mere dimagh mai banay wo sare achay tasavuraat jo main ek larki ko soch k rakhti thi per paani pher dia. Teacher ka intezar karte hue hum stairs per bethay the k samne sy ek bht achi dressing mai, achay haircut or achi shakal ka larka ek behtreen gari sy utra. Pass mai bethe sab log ussy dekh he rahe the k ek larki k mu sy mashaAllah, subhanAllah or InshaAllah ki awazen sunnay  ko mileen. Jab palat kar dekha to wo mohtarma na sirf unko tiktiki bandh kar dekh rhi thi balkeh saath saath apni dosto ko yeh bhi keh rhi then k ‘yaar itna handsome ban kar ghar sy nikla hai, kaheen nazar na lag jae. Inshaallah aapki behan isko set karlegi’. Jab k un khatoon ka pehle sy ek affair university mai kaafi mashoor hai. Is waqiye ko batanay ka maqsad sirf yeh nahi tha k tharak pan insaan mai kitni barh gai hai balkeh yeh bhi tha k mard ho ya aurat yeh tharak pan cheez he esi hai k sab mai paai jati hai.

Is tarha k bht sare waqiyaat aae din nazro sy guzar rahe hote hain jab koi teacher kisi bachi ya bachay ko undue favors deta hai to hum yeh samjhte hain k wo shayad isko iski kaabliyat ki wajah sy pasand karta hai jab k asal mai yeh unka tharki panah hota hai or kch nahi. Raah chalte na jane kitni nigaahain aap par parti hain laazmi nahi k sab k sab thark ki nigha sy dekh rahe hon magar yakeen janiye k adhi sy zada nigahaen aap per parne wali aapne andar ki tharak ko satisfy kar rahi hoti hain. Yeh nai k aap khud bht shareef hain, HARGIZ NAHII!! Darasal aap k khud k andar b ek tharki hai jo unhe uthne wali nighaaon ko wapis dekhta hai or dil sy yeh chahta hai k wo nighahen hum per he tiki rahen k shayad hum hain he itne achay.

Gharz tharakpan ek la ilaaj bemari hai. Iska ilaaj to hakeem luqmaan k pass bhi nahi qk wo khud bhi ek tharki hain.

2 comments:

  1. Chargha aur kabab main xara difference waazeh kardijye :P

    ReplyDelete