Saturday, March 15, 2014

By Javeria Kamran :Ache Baat

Ghuftugu ek aisa amal hai jis ki waja ya toh insan logo k dil main utar jata hai ya logo kay dil se utar jata hai....

By Humaira Slaman :Nakamiyan bhe Kamiyabiyun ki Alamat hai

Jub tuk Insan Koshish or Tajusus na karey usse apni salahiytoun ka ilm nhin hosakta.
"kyun k ju jitni zameen kasht kareyga utna he usse phul mileyga" ....
Iss liye Barae karam sochne ka amal shoro karna zaore hai kyun k yehi soch apko kamiyab karsakti hai or agar na kam bhe hogae tu kiya howa
Kyun k "Nakamiyan bhe Kamiyabiyun ki Alamat hai"
Isse liye jub bhe apk zehan mein idea ae usse ek dum alfaz ka libas pehna dein warna kal koi aur isse idea ko apne alfaz mein bayan kardeyga aur ap shurm-o-nidamat ka ahsas liye apni hur rai dosroun k moun se sun kar us per amal paira hone k liye majbore hojeinge....

BY Humaira Salman : Main aur Ideas ka Samander

Baz ideas mere zehan mein is topic ko lekar kuch aise ae k mera Bister mere liye RAFIQ (dushman) ban gaya or AAdhi rat ko uth kar apne Khayalt Qalam band karne beth gae k kahin subah tuk Zehan se na nikal jaein .... :p

By Humaira Salman : Naujawan nasal

Ek dafa Ek azeem Rusi Musavir Brolf ne apne ek shagird ki tasveer ki islah ki,us shagird ne Islah shuda tasveer dekh kar hairat se kaha "Apne Usse faqat thora sa Tabdeel kia hai Magar us thori c tabdeeli se kis qader farq Par gaya hai".Brolf ne jawab diya,"Yehi mamoli c tabdeeli Fun ki alamat hai".

Is waqiye ko yahan batane ka maqsad yeh hai k naujawan nasal mein kissi bhe cheese ki dilchasbi us waqt paida hosakti jub unki islah sahe andaz se ki jae phir chahey wo ustad karey ya maa baap warna Us Fun k lafz ko koi bhe sir phera najawan FUN (tafreeh ) ka mayunoun mein leyga or kaheyga "Oh yeah FUN".

Us k ilwa isko ziker karne ka ek maqsad yeh bhe hai k Maujuda Naujawan Nasal Jadidiyat ko fauqiyat dete hai is jadidiyat k paish-e-nazar inhein sirf Apni Matlab ki bat samjh ati hai aur wahin apne demagh ka istimal karna Zarore samjhte hain warna   NO LIFT ya "TO STAY Quite" isse mein behterai samjhte hai.

Ideas bhe usse dauran is nasal k zehan mein ate hain jub ink matlab ka kam ho raha hai kyun k ab ki nasal sirf Matlab Parast ho chuki hai or isse liye ink matlab k kam mein ap in se ju chahey karwa lein wo khushi khushi kareinge jaise kissi ki tang kaise torne hai ya sir kaise pharna hai apko is mein bharpore ideas mileinge phir chahey wo AQLI houn ya BEAQLI.

tu yani Ajkal ki naujawan nasal is misal j c hai " Jaise ap Barood se bhara howa Lohay ka gola Kissi shukhs per mar kar dekhein usk kaproun ko kabhe aag na lagay ge Lakin us barood k golay k feetey thori c Aag dekha kar Aap phari bhe ura sakte hain".

bilkul isse tarah maujuda nasal us barood k golay ki tarah hai bus zara c Aag paida karni ki deir hai or inka kamal dekhne laiq hoga bulke hota bhe hai... :p

By Javeria Kamran : Acha waqt aur Dua

Agar kisi ko kch dena hai toh acha waqt or dua do kyun k ap di hui har chez wapis le sakte ho, acha waqt aur dua kabhi wapis ni leskte...

By Humaira Salman : Unique Soch

"IDEA Ek KHARBOZEY Hota hai Ju kahin na kahin se Dekh k He RANG Pakarta hai." ..... :p : D

kyun K KHARBOZEY ko dekh kar he KHARBOZA rang pakarta hai : ))

Friday, March 14, 2014

By Muhammed Saad : Khauf-e-Blog

Post say darr nahi lagta,
Comment say Darr lagta hai Sahab :P

Daniyal asmat paracha "bhari jawani"

bhari jawani ya nojawan nasal main ideas ki kami 1 bari waja ye bhi hai k nojawan nasal 1 dosray ki ghaltiyan pakarny main lagi hai. 1 dosray ki khamiyan dekhny se fursat milay gi to koi creative idea ay ga na :P

Rafiqullah Paracha "Ustad e muhatram"

Ustad-e-Muhtaram Sir Humair Ishtiaq sahab ne hum jamaton ke qabilyat ko dek kar guzishta hafty Blog tehreer karny k lye "youth mai ideas ke kami" bator mozu dya magr lag bag 40 talaba wo talibat ne mai se 9 ne apny khayalat ka izhar kia jab k baqi rufaqa ne koi post na kar k sabit kar dya k waqyi youth mai ideas ke kami hai jo is topic pe apny khayal ka izhar nahi kar paye. .agr ye kaha jaye k youth mai nahi bal k MCD k students mai ideas ke kami hai to beja na hoga 

by Rafiqullah Paracha

Izhar-e-Khayal mai adm dilchaspi ya ehsas-e-kamtari?
Youth mai ideas ke kami  nahi bal k khayalat ka izhar karny mai admi dilchaspi he hai jis ke waja se hum natamam hony waly duranye(duration) tak lub see k beth jaty hai.ab aap isy adm-e-dilchaspi kahy ya ehsaas-s-kamtari kahy.

By Taha Nayyer : Class k Halaat

Kal class main bachon ki Gaier mojudgi nay Sabit kardia hai k Ideas k sath sath Confidence ki Kami waqai hai :P
Badaam aur Horlicks ka xada say xada Istemaal kia jaye :D

Thursday, March 13, 2014

Class Alert

You have to submit Hard Copy of the 'Website Presentation' Assignment containing the Names of the Members and the Tasks they would be performing in Your Assignment.

Syed Oun Abbas "Idea tow Idea hy"

abb is mouzou pey behs nhi honi chiye kion k Idea to idea hota hy abb wo bhari jawani mae aye ya noujwan Nasl k zehnoon mae ;) Jis trha degree to degree hoti hy :p :)

By Kanza Khalid : Learning is no more important

In today world everybody wants readymade things in every field of life. Youth involve in short cut to reach towards the success .No one think about new inventions everybody use the existing one because of that many new ideas are vanished. Learning is no more important it is just because to want degree everybody think that money play an important role to reach towards on high level .A man do business to meet his or her expenses not pay attention on education to get knowledge and idea about new things. Mobile, Internet and different websites limited the thinking of youth because of this many productive ideas are not generate in our gatherings .To overcome society from this arrange some events like brain storming, seminars activities, conferences on different subject of interest etc this bring change in ideas to some Extend.

Wednesday, March 12, 2014

By Kulsum Ali : Bhari jawani mein ideas ki kami

Assalam alaikum.
I just want to inform you guys that, that the topic is " bhari jawani mein ideas ki kami"
Ye wordings sir humair ki hain and I m sure about this because
I wrote this in my register at that time.
This is not our topic"noujawan nasal mein ideas ki kami"
Thank you:)

Daniyal Asmat Paracha "ideas ki kami"

1 hafta ho gya hai or in 7 dinon main kul 9 posts ayien hain ab tk nojawan nasal main ideas ki kami per. sorat e haal kch aesi hai topic "nojawan nasal main ideas ki kami" hai or posts main bhari jawani main ideas ki kami ka zikar bhi numayaan hai.!! :P :) 

by RafiqUllah Paracha 'Nasley Noo'

Nasl-e-No k baary mai agr ye kaha jaye k ideas ke kami hai to ye sarasar ziyadti hogi.Q k arz-e-Pak par rehny waly har shakhs k pas ideas ke bharmaar hoti hai,mgr afsos se kehna parta hai k un k pas koi ayesa plateform nahi hota jis par apny khayalat ka izhar ker sakain.Badqismati se har dusra shakhs mukhtalif khayalat ko logon k saamny laye bgair he ya to unhy humesha k lye khamosh kar dya jata hai ya unki jan le jati hai.yahi waja hai k watan-e-aziz k lye hum mai se jo koi kaam kary khawah wo kisi b shuba-e-haye zindagi se mutaliq he q na ho un ko khamosh karwa dya jata hai.

By Kulsum Ali : Ideas ki Kami

And guyz the simple thing is that :

" aj kl bhari jawani mein (ideas) ki kami (iodine) ki kami ki waja se hai " :D :p

by Syed Oun Abbas, ideas ki Kami

Hr Insaan k zehn mae bayshumar Ideas aatey hain or yee Ideas us noyiat k hoty hain jesa Insaan hr waqt sochta hy. Abb masla yee hy k Moriarty of our class soch mae pari hy k mjhey kia Idea aana chiyee k mae is bat per blog mae kuch likhon k Noujawanoo mae ideas ki kami hy lekin hamrey bhai or behn is soch sey baaher nhi arhey that's why wo still yahi soch rhy hain k maery Zehn mae kia Idea aye jis k bad mae yee likhon k Ideas kion nhi aatey.  :p :)

To bhai soch ko badlayen phir zaroor app k zehn mae yee ajey ga k Ideas kion nhi aatey :)

Tuesday, March 11, 2014

By Kanza Khalid : Harbin Festival

:::The Harbin festival, conducted in China is the largest ice and snow festival in the world. The sculptures in the picture are entirely made of ice and it is conducted annually starting on January and lasts till the end of the month:::

By Humaira Salman : Mehrumiyoun say bharpoor Ideas

Mehrumiyaan 02 tarhan ki hotien hain :
1-Ksi Cheez ka kbhe na hona.
2-Ya kisi cheez ka Mil kar Kho jana.

Bilkul inheen mehrumiyoun par mabni hamari naujawana Nasal ki soch hai.
Darasal aaj kal har koi yeh kehta aur bolta nazar aata hai kay Zara Sochiye, socho beta, sochtay raho, aur baaz yeh kehtay hain kay aray aray na socho Q apnay nannhay Zehan par bojh daal rhay ho.

Yeh alfaaz mundarja baala Mehrumiyoun say hamain Roshnaas karwatay hain bilkul isi tarahan soch hogi toh he zehan main Ideas aeingay warna Ideas hotay kia hain ? Kia bala hai ? kisi ko kia maaloom.
Baaz esay bhe naujawan hain jo itni gehrai main sochtay hain kay unkay Ideas gehrai main nahi ghiray rehtay hain ayr baaz toh itnay Ideas detay hain kay unkay koi Ideas samajh main he nahi aatay.

Ab btaiye jo cheez kisi kay paas hai he nahi yaani Ideas say mehroomi Woh Bechara kahan say laega aur ik masla yeh bhe hai kay baaz naujawan nasal kay zehnon main baray baray , Achay Achay khayali pulaao qism kay Ideas hotay hain par jab un Ideas ko Takhleeq karnay ki baari aari hai toh becharay doosri mehroomi ka shikaar hojatay hain aur bhool jatay hain Yaani ik Cheez mili aur phir kho gaiee kahan bechaaray who bhe nahi jaantay, toh ab bataye is naujawan nasala ka kia qasoor hai yeh toh masoom hai.

Sachai mehnat aur Arkh Raizi ka he sila milta hai kay apnay he bnaye gaye Ideas par toh rotay hain ya Kuch zada he khush ho jatay hain kia karain ragon main Garam khoon jo daurta hai.

Monday, March 10, 2014

By Sarosh Iqbal : Hello Monday

Hello Monday! I don't really hate you. Anyway, why should I, huh? It's just that I feel uneasy when I hear that you are around.  Well if you had a face I would definitely punch it. Most of us would like to do it.