Saturday, March 29, 2014

Oun abbas

Kindly app log in 3 topix mae sey koi to select karen kisi akk per to comment kr k apni raey ka Izhar karen. Us k bad yee shikwa hota hy k Topic acha nhi hy !!!!

Friday, March 28, 2014

Class Group Alert :

There is a slight change in this group with the approval of the Course Incharge.

Group A :

Syed Oun Abbass - Urdu
Haider Abbass - Urdu
Daniyal Asmat - Urdu
M. Saad - English
Hafiz Muhammed Mubashir - Urdu
Osama Hassan Ali - Urdu

Blog Topics :

1.) Friends with benefit in modern Era. (Mohammed Saad)
2.) Student ki Kabhe BEIZATTI nahi hoti Q kay Unki ko IZAT nahi Hoti. (Javeria Kamran)
3.) Khabrein aur Chatkharein. (Humaira Salman).
4.) KU main Crashes say le kay Clashes tak. (Owais Yousuf).

I will add more as soon as I receive topics from others.
Thanks.

Thursday, March 27, 2014

Basmah Laiq : Tharki

Kehte hain k tharak or sarak insaan ko kaheen bhi le jati hai. Sach kehte hain!! Pakistan bil khusoos Karachi mai tharkio ki kami nahi aur na kabhi ho sakti hai. Sarak wo hai jo agar galat ho to insan ki manzil milna mushkil hojati hai or tharak wo hai jis mai aapko manzil he nahi pata hoti. Roz koi naee naee manzilen dkhti hain magar asli manzil konsi hai wo kisi ko nahi maloom.

Is baat ka andaza lagana k mard or aurat mai kon zayada tharki hai thora mushkil hai kyun k tharki pana kisi k profession, gender ya parhai sy taluk ni rkhta k konsa insaan zada para likha hai to wo tharki ni hoga ya kisi ka kia profession hai, agar wo koi acha professional insane hai to tharki nahi hoga or agar koi ese he chota mota kaam karta hai to tharki hoga, mard hai to zada tharki hai or aurat hai to tharki nahi hai. NAHII! Hargiz nahi. Tharak pan insaan ki fitrat hai aadat nahi qk aadat to badalna assaan hota hai magar fitrat nahi. Mere mutaabik, aaj kal k dor mai jo zada parha likha, achay ohday per faaiz insaan hai chahay 60 saal ka bhudda he kyun na ho woh zada tharki hai. Shayad zada kam ya parhai insaan ko zada tharki bana deti hai. Kyun k us insaan ki zindagi mai kitaabo or kaam k alawa kch krne or dekhne hota he ni to jab ussy koi esi cheez dkhti hai jo k issy mukhtalif hoti hai to wo ussy wese he tharki panay sy dekhta hai jese koi anhoki makhlooq dekhli ho.

Yeh andaza lagana bhi shaded mushkil hai k zyada tharki shaadi shuda log hote hain ya gher shaadi shuda. Shaadi shuda isliye zada tharki hoskte hain k roz ghar ki ek daal chaawal kha kha k aadmi bore hojata hai usko kabhi chargha chaye hota hai to kabhi kabab. Us chargha or kabab ki talaash usko tharki bana deti hai. Gher shaadi shuda afraad isliye zada tharki kehla sakte hain qk yeh to un sy bhi badtar hote hain jinhe roz daal chawal milti hai qk yeh to wo log hote hain jin k pass khanay he kch nahi hota to unhe rookhi sookhi jesi b dedo yeh khushi khushi Allah ka shukar ada karte hain or agar kabi inhe acha mil jae to inke to bhaag he sanwar jate hain. Yahan yakeenan meri muraad daal chawal or charghay type khano ki dishes sy yeh khanay nahi hain, aap behtar samjh sakte hain.

Haal he mai ek waqiya university mai dekhne ko mila jis ne mere dimagh mai banay wo sare achay tasavuraat jo main ek larki ko soch k rakhti thi per paani pher dia. Teacher ka intezar karte hue hum stairs per bethay the k samne sy ek bht achi dressing mai, achay haircut or achi shakal ka larka ek behtreen gari sy utra. Pass mai bethe sab log ussy dekh he rahe the k ek larki k mu sy mashaAllah, subhanAllah or InshaAllah ki awazen sunnay  ko mileen. Jab palat kar dekha to wo mohtarma na sirf unko tiktiki bandh kar dekh rhi thi balkeh saath saath apni dosto ko yeh bhi keh rhi then k ‘yaar itna handsome ban kar ghar sy nikla hai, kaheen nazar na lag jae. Inshaallah aapki behan isko set karlegi’. Jab k un khatoon ka pehle sy ek affair university mai kaafi mashoor hai. Is waqiye ko batanay ka maqsad sirf yeh nahi tha k tharak pan insaan mai kitni barh gai hai balkeh yeh bhi tha k mard ho ya aurat yeh tharak pan cheez he esi hai k sab mai paai jati hai.

Is tarha k bht sare waqiyaat aae din nazro sy guzar rahe hote hain jab koi teacher kisi bachi ya bachay ko undue favors deta hai to hum yeh samjhte hain k wo shayad isko iski kaabliyat ki wajah sy pasand karta hai jab k asal mai yeh unka tharki panah hota hai or kch nahi. Raah chalte na jane kitni nigaahain aap par parti hain laazmi nahi k sab k sab thark ki nigha sy dekh rahe hon magar yakeen janiye k adhi sy zada nigahaen aap per parne wali aapne andar ki tharak ko satisfy kar rahi hoti hain. Yeh nai k aap khud bht shareef hain, HARGIZ NAHII!! Darasal aap k khud k andar b ek tharki hai jo unhe uthne wali nighaaon ko wapis dekhta hai or dil sy yeh chahta hai k wo nighahen hum per he tiki rahen k shayad hum hain he itne achay.

Gharz tharakpan ek la ilaaj bemari hai. Iska ilaaj to hakeem luqmaan k pass bhi nahi qk wo khud bhi ek tharki hain.

Muhammed Saad :

Gham-e-Rozgaar, Tharakpan ko kam kardaita hai 

Zohaib Kamal "Tharkipan is on its peak"

Tharkipan is on its peak beacuse aaj kl larkoon sey ziada larkian Tharki hain, Or larkian Pakistan ki majoirty hain Thats why Tharkipan is on its peak :-p

Owais Yousuf "A silent msg for all Girls"

Khwateen mai sey larky k tharkipan pr kuch kamal aya to sunyee Larki ka tharkipan ka akk nazrana, koi larka agr equest send karey face book per tow un ki request accept na krna, or dil hi dil mae kush ho k apni sub friends ko btana or phir meesage per pehly us ki detail lena nap tool kr sub kuch maloom krna is he per akk sher mulhaiza farmaeen,
Naap tool kr gher wher hasiyat per marti hain
ishq mae ab koi larki kahan diwani hy  :-P
or is sey aagey hdd barh jaey to kia hota hy yee bhe mulahiza farmaen
Larkioon per kia guzri kuch bata nhi pati
Zakhm umer bhr ka hy or beyZabani hy...
A silent msg for all Girls :-P

Taha Nayyer : Tharakpan ik Musibat

Kia mushkil topic hai yh “Tharkipan at its Peak”, Option de k he phans gaya main toh :P .. Baaqi Tharkiyoun ka dimagh pta nahi kaisay chal rha hai :P

Wednesday, March 26, 2014

By Kanza Khalid :

tharkipan is a tool that  tharkis think they'll attract girls from but they fail and end up getting slapped and insulted and beaten up by sandles.

By Sania Zulfiqar : Tharkipan at its Peak

Tharakpan kya hai? Iski ibtida kahan se hui? Or aaj kal har koi is k bare me kyun baat karraha hai? Tharakpan wo bimari hai jiska koi ilaj nai …ye bimari kab dunia me ayi ye koi nai bata sakta lekin aaj kal ye bimari bohat aam si hogai hai…har dusra shakhs is bimari me mubtala hai khuwah wo larki ho ya larka ..lekin mojada tehkeek k mutabiq ye bimari larko me ziada payi jati hai ….is bimari ki kayi alamtain hain un me se kuch ye hain

•Larki facebook par comment kare to uska comment like karna ,phir request bhejna ,phir batain karna aur 2 din me pyar hojana
•Larki inkar kare to marne ki dhamki dena
•Aur agar phir bhi na mane to kisi doosri larki par yehi hatkanda apnana
•Ati jati har larki ko is tarah taarna jese ye unka farz ho
•Jab inhe zaleel kia jaye to ye dheet kehte hain kya karoon oh ladies main hun adat se majboor ,do dilo ki hoon chahat mera naam hai mohabbat
•Zindagi me kuch Karen na Karen 10 15 girl friends banana inka farz hai
•Ye azeem log to abaye wali khawateen ko bhi nai bakhshte or taarne me masroof rehte hain
•Gali ke har nukar par ye log aap ko seeti bajate payen jayen gen


Magar is bimari se bachne k kuch gharelu totke hain jin par amal kar k in se bacha ja sakta hai jese

•Ammi ki jooti…ji han ye wo azeem hathyar hai jiska istemaal sadiyon se hota aya hai aur ye aaj bhi utni hi faidamand hai
•Ese mareezo ko ganja kar dene se in k adar k tharakpan se kafi had tak nijat mil jati hai
•Ese mareezo par kari nazar rakhne se bhi kafi hadh tak is bimari se bacha ja sakta hai
•Raat ko mobile phone in se leliya jaye to bhi kafi hadh tak bachao mumkin hota hai lekin shuru k kuch din  in se mobile lene par ye log aap ko pani se nikali hui machli ka manzar paish Karen gen lekin kuch dino me inhe adapt hojayegi

Ye bimari aaj kal Pakistan k nojawano me kafi aam hai lekin mujhe yaqeen hain in tareeko ko istemal kar k aap is bimari se bachao kar sakte hain aur agar tab bhi kuch na ho to dua to kar hi sakte hain :D

By Nida Khan :

Tharkipan on its peak? Is this really the topic that has been chosen? I thought I would read something or write something that will be fruitful …surprised…well I agree with Oun Abbas there aren’t  any comments on this topic because people can go further than its meaning. Topic should be chosen wisely where we get space to write freely…that make some sense I know I can’t say all this because I am unable to attend classes ….I would have definitely said NO to this one :P…..about tharkipan……can any body explain what does it actually mean in your mind and what do you want us to write about it? (for the people who said yes to this topic)

By Sarosh Iqbal : She proposed you? Congrats, unless you’re a Justin beiber fan, she ain’t a Tharki.

There are many differences between Tharki boys and Tharki girls. You can check tharak level now also on confession pages of universities. It’s like “ aj tum blue dress ma bohot he pyari lag ri thi tmhri masoomiat aur wo smile. Lobby py bla bla jaga py bethi thi plz contact me .wanna friendship with you.Its more like a tharakpan page than a confession one. Bhai aj blue wali ki smile pasand ai hai to kal pink wali ki ankhen pasand ajaengi.
BIG DEAL.
Well there is also a stuff like this by girls too but the ratio is less as compare to boys. Boys can be eve teasers, slang passers and even criminals, girls don’t do that.
Girls generally don’t use stuff like “Will you become my friend” in their messages!!! And moreover, a girl won’t propose you right away even if she is a Tharki unlike a despo boy.
Tharakpan level: “BACHI bhitaaru, LARKI bhitaaru, AUNTY bhitaaru. TaaruMaaru everywhere!!
Girls be like: Gandi nazar walay tera moun kaala. CHAL HATT THARKI

By Muhammed Saad :

For Boys :
If a girl likes your comment at FB, it does not mean she likes You, don't become Sugar Daddy.

For Girls :
If a boy sent You a Friend request, it does not mean that it is a proposal, don't become Shy or Tharki.

Oun Abbas "Tharak level"

Blog ki weekly post k liye jin khavateen o hazrat ney yee mouzou select kia tha lgta hy bss un ko thrak ka lafz hi acha lagta hy wo is per koi tabsira nhi krna chahtey. :-p
Bhee phir topic soch samjh kr rakhna chiyee tha na :-D

Monday, March 24, 2014

By Javeria Kamran :

tujhe yaad karte hain tere ikhlaq ki waja se
warna konse tere samose pakoray mashoor hain pg ki tarha

By Mustafa Tahir :

I think ek topic blog k liye ye b hona chayae sahab "Thursday ki kamyabi" :P

By Javeria Kamran :

یوں ہی بھلا دیتی ہے پم کو دنیا ....... حد ہوتی ہے یار
ہم بھی انسان ہیں، کوئی قائد آعظم کے 14 نکات نہیں

By Javeria Kamran : موجودہ حالات کے نام

اے خدا اس دنیا میں ........ ایک اور کمال کر
یا تو زندگی آسان کر، یا خود کشی حلال کر

By Javeria Kamran : مصروف افراد کے نام


بس کنڈکٹر کے جیسی، ہو گئی ہے زندگی سب کی
سفر بھی روز کا ہے ........... اور جانا بھی کہیں نہیں

Oun abbas "Tharak kia hy"

Tharak ko sirf piyar o muhabbat mae hi kion ly k jaya jta hy tharak kisi chez ki bhi hosakti hy jesey Ilm hasil krny ki tharak, Mulk sey bahr janey ki tharak, new car leney ki thrak. Han yee zaroor hy k hmarey han tharak ki wo hi qism ziada paai jati hy jo app samjh rahy hain ...... :-p

Muhammad Ali "wo log"

Janey wo kon loug thy k jin k piyar ko Tharak na nam mila.......... Mangi thein jis ney Piyar ki kalyiaan un ko tou tharak ka haar Mila..... :-p

Sunday, March 23, 2014

Oun abbas "Yee hy is haftey Ka Topic"

         Tharkipan on Its Peak :p