Wednesday, March 26, 2014

By Sania Zulfiqar : Tharkipan at its Peak

Tharakpan kya hai? Iski ibtida kahan se hui? Or aaj kal har koi is k bare me kyun baat karraha hai? Tharakpan wo bimari hai jiska koi ilaj nai …ye bimari kab dunia me ayi ye koi nai bata sakta lekin aaj kal ye bimari bohat aam si hogai hai…har dusra shakhs is bimari me mubtala hai khuwah wo larki ho ya larka ..lekin mojada tehkeek k mutabiq ye bimari larko me ziada payi jati hai ….is bimari ki kayi alamtain hain un me se kuch ye hain

•Larki facebook par comment kare to uska comment like karna ,phir request bhejna ,phir batain karna aur 2 din me pyar hojana
•Larki inkar kare to marne ki dhamki dena
•Aur agar phir bhi na mane to kisi doosri larki par yehi hatkanda apnana
•Ati jati har larki ko is tarah taarna jese ye unka farz ho
•Jab inhe zaleel kia jaye to ye dheet kehte hain kya karoon oh ladies main hun adat se majboor ,do dilo ki hoon chahat mera naam hai mohabbat
•Zindagi me kuch Karen na Karen 10 15 girl friends banana inka farz hai
•Ye azeem log to abaye wali khawateen ko bhi nai bakhshte or taarne me masroof rehte hain
•Gali ke har nukar par ye log aap ko seeti bajate payen jayen gen


Magar is bimari se bachne k kuch gharelu totke hain jin par amal kar k in se bacha ja sakta hai jese

•Ammi ki jooti…ji han ye wo azeem hathyar hai jiska istemaal sadiyon se hota aya hai aur ye aaj bhi utni hi faidamand hai
•Ese mareezo ko ganja kar dene se in k adar k tharakpan se kafi had tak nijat mil jati hai
•Ese mareezo par kari nazar rakhne se bhi kafi hadh tak is bimari se bacha ja sakta hai
•Raat ko mobile phone in se leliya jaye to bhi kafi hadh tak bachao mumkin hota hai lekin shuru k kuch din  in se mobile lene par ye log aap ko pani se nikali hui machli ka manzar paish Karen gen lekin kuch dino me inhe adapt hojayegi

Ye bimari aaj kal Pakistan k nojawano me kafi aam hai lekin mujhe yaqeen hain in tareeko ko istemal kar k aap is bimari se bachao kar sakte hain aur agar tab bhi kuch na ho to dua to kar hi sakte hain :D

No comments:

Post a Comment