Tuesday, March 11, 2014

By Humaira Salman : Mehrumiyoun say bharpoor Ideas

Mehrumiyaan 02 tarhan ki hotien hain :
1-Ksi Cheez ka kbhe na hona.
2-Ya kisi cheez ka Mil kar Kho jana.

Bilkul inheen mehrumiyoun par mabni hamari naujawana Nasal ki soch hai.
Darasal aaj kal har koi yeh kehta aur bolta nazar aata hai kay Zara Sochiye, socho beta, sochtay raho, aur baaz yeh kehtay hain kay aray aray na socho Q apnay nannhay Zehan par bojh daal rhay ho.

Yeh alfaaz mundarja baala Mehrumiyoun say hamain Roshnaas karwatay hain bilkul isi tarahan soch hogi toh he zehan main Ideas aeingay warna Ideas hotay kia hain ? Kia bala hai ? kisi ko kia maaloom.
Baaz esay bhe naujawan hain jo itni gehrai main sochtay hain kay unkay Ideas gehrai main nahi ghiray rehtay hain ayr baaz toh itnay Ideas detay hain kay unkay koi Ideas samajh main he nahi aatay.

Ab btaiye jo cheez kisi kay paas hai he nahi yaani Ideas say mehroomi Woh Bechara kahan say laega aur ik masla yeh bhe hai kay baaz naujawan nasal kay zehnon main baray baray , Achay Achay khayali pulaao qism kay Ideas hotay hain par jab un Ideas ko Takhleeq karnay ki baari aari hai toh becharay doosri mehroomi ka shikaar hojatay hain aur bhool jatay hain Yaani ik Cheez mili aur phir kho gaiee kahan bechaaray who bhe nahi jaantay, toh ab bataye is naujawan nasala ka kia qasoor hai yeh toh masoom hai.

Sachai mehnat aur Arkh Raizi ka he sila milta hai kay apnay he bnaye gaye Ideas par toh rotay hain ya Kuch zada he khush ho jatay hain kia karain ragon main Garam khoon jo daurta hai.

3 comments:

  1. yani app k kehny ka kuch maqsad samjh nhi aya k app kehna kia chah rhi hain ? :p

    ReplyDelete
  2. oun ap jaisa nhin likhte per kuch tu likh he sakte hai:p (humaira)
    waise kia samjh nhin aya :p

    ReplyDelete