Saturday, March 15, 2014

By Humaira Salman : Naujawan nasal

Ek dafa Ek azeem Rusi Musavir Brolf ne apne ek shagird ki tasveer ki islah ki,us shagird ne Islah shuda tasveer dekh kar hairat se kaha "Apne Usse faqat thora sa Tabdeel kia hai Magar us thori c tabdeeli se kis qader farq Par gaya hai".Brolf ne jawab diya,"Yehi mamoli c tabdeeli Fun ki alamat hai".

Is waqiye ko yahan batane ka maqsad yeh hai k naujawan nasal mein kissi bhe cheese ki dilchasbi us waqt paida hosakti jub unki islah sahe andaz se ki jae phir chahey wo ustad karey ya maa baap warna Us Fun k lafz ko koi bhe sir phera najawan FUN (tafreeh ) ka mayunoun mein leyga or kaheyga "Oh yeah FUN".

Us k ilwa isko ziker karne ka ek maqsad yeh bhe hai k Maujuda Naujawan Nasal Jadidiyat ko fauqiyat dete hai is jadidiyat k paish-e-nazar inhein sirf Apni Matlab ki bat samjh ati hai aur wahin apne demagh ka istimal karna Zarore samjhte hain warna   NO LIFT ya "TO STAY Quite" isse mein behterai samjhte hai.

Ideas bhe usse dauran is nasal k zehan mein ate hain jub ink matlab ka kam ho raha hai kyun k ab ki nasal sirf Matlab Parast ho chuki hai or isse liye ink matlab k kam mein ap in se ju chahey karwa lein wo khushi khushi kareinge jaise kissi ki tang kaise torne hai ya sir kaise pharna hai apko is mein bharpore ideas mileinge phir chahey wo AQLI houn ya BEAQLI.

tu yani Ajkal ki naujawan nasal is misal j c hai " Jaise ap Barood se bhara howa Lohay ka gola Kissi shukhs per mar kar dekhein usk kaproun ko kabhe aag na lagay ge Lakin us barood k golay k feetey thori c Aag dekha kar Aap phari bhe ura sakte hain".

bilkul isse tarah maujuda nasal us barood k golay ki tarah hai bus zara c Aag paida karni ki deir hai or inka kamal dekhne laiq hoga bulke hota bhe hai... :p

No comments:

Post a Comment