Saturday, April 05, 2014

Usama Mustafa : Izzat Izzat Hai Aur Beizzati Beizzati

Beizzati or Izzat do alag alag alfaz hain per aj kal inka taluq ek dosre se kuch mukhtalif hai,maujuda naujawan talib-e-ilm mein izzat ka lafz tab istimal kia jata hai jub unki koii beizzati karta hai tu unk sathi baray he fakhar se kahte hain

"Arey aj tu tumhare bari tabiat se IZZAT hogae"
Tu bhala in do alfaz mein furq kia kareinge ab tu yehi pehchan hogae hai..

Arz kia hai :
Tu dil mein tu ata hai samjh mein nhin ata
Mein jan gaya tere pehchan yehi hai
Yani k ajkal in masoom se talib e ilm ki nazar mein beizzati or izzat mein koi furq nhin or kub bechare is ghalat fehmi se bahar nikleingay k bhai izzat izzat hoti hai aur beizzati beizzati ... : )

4 comments:

  1. Tehreer karnay walay ki soch ko salam :D Tbiat say Izzat honay ka matlab yh hai k agar Izzat bht xada hojaye toh woh be-izzati main convert hojati Hai :P ?? Aisa he Hai :P ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. yaar bus chor izat ka mamla ha.. bad ma smjhunga :D :p

      Delete
  2. wah wah -(Humaira) : )

    ReplyDelete